Sunday, 19 November 2017

THE ONE WHO DO IS THE ONE WHO WINS

Haar wo maanta hai,
Jisko kaamyaabi se darr lgtaa hai.
Kadam piche wo rkhtaa hai,
Jisko duniya se darr lgtaa hai.


Kaamyaabi usko milti hai,
Jo mehnat krtaa hai.
Duniya uski hoti hai,
Jo usse apnaa kehtaa hai.

Agar sirf sochne se sapne pure hote,
To iss duniya me koi gareeb ni hota.
Agar sirf dekhne se duniya badalti,
To is duniya me koi majdoor ni hota.

Khawaabon ko sajaane se wo sunder ni ho jaate,
Par unhe sawaarne se wo sunhare jarur ho jaate hain.
Kisi safaid kaagaj pe do shabd likh dene se wo panna ni bhar jaata,
Tumhaare do kadam bdhaa dene se duniya tumhaari ni ho jaati.

Zindagi ko apna kehne se,
Wo apni ni ho jaati.
Zindagi ko apnaa bnaa lene se,
Wo kisi aur ki ni reh jaati.

Duniya me emaaratein bahut hain,
Par maanyatayen sirf unki hai jinke piche kuch daastayein hai.
Duniyaa me log bahut hain,
Par mahaan sirf wo hain jo kaamyaab hain.

Samay gawaane waala,
Ek din khud ko bhi gawaa dega.
Sub cheej ko apna bnaane waala,
Ek din duniya ko bhi apna bnaa lega...!



12 comments:

ADHURI KAVITA..!

Hum sb jaante hain, Pr naa jaane kyo anjan bnte hain, Sb kch krne ki himmat rakhte hain, Pr naa jaane kyo dagmaga jaate hain...! ...