Thandi hawao ke sath,
Udd jaana chahati hu,
Nadiyon ke sang,
Beh jaana chahti hu,
Kisi me itna dam nahi,
Ki rok le mujhe,
Kyuki sab ko paar karke,
Gum si jaana chahti hu mei...!
Pahado ki parchhayi ko cheer kar,
Pahado ki uchayi ko chhoona hai,
Zindagi ki khoobsurti ko dekhne ke liye,
Pahle uski mushkilon ko jeena hai...!
Dar dar thokre khaane ki jagah,
Ek thokar par sambhal jaana accha,
Har baar naye mauke ke intezaar se behtar,
Ek mauke me hi kuch kamal kar jaana accha..!
Zindagi ki har koshish,
Nakaam hoti jaa rahi hai,
Jeene ki har wajah,
Benaam hoti chali jaa rahi hai
Kisi ne mujhse kaha,
Woh logon ko doosra mauka nahi deta,
Mein us'se kehti hu,
Har insaan dhoka nahi deta,
Kisi ne mujhse kaha,
Ki ek baar dil tootne par,
Toone jeene ka tareeka badal diya,
Mein use kehti hu,
Maine khudko tootne ka,
Doosra mauka dena chhod diya...!
Woh meelon ka safar,
Or khwaabon ki kashti,
Woh ummidon ki baarat,
Or tarakki ki doli. .
Bas kahin leti chali jaa rahi hai,
Zindagi ki har koshish ko,
Nayi wajah dete chali jaa ri hai...!